WAP Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

Nice-Friends - Topics
Create Your Own App Store

* Nice-Friends > Topics


Subject: *~Urdu Ghazal pOetry~*
Replies: 31 Views: 2967

dr.aamir 15.07.12 - 11:51am
Collection Of sOme Best Ghazals.. *

dr.aamir 15.07.12 - 11:53am
Wo Chahto Ki Esi Misal Deta Hai,
Awargi Ko Apnayat Mai Dhal Deta Hai,

Wo Khush Kalam Hai Is Kadar,bat Karny Mai,
Ke Harf Harf Ko Husn-o-jalam Deta Hai,

Mai Uska Sath Jo Mango,zindagi Bhar Ke Liye,
Baray Haseen Tareeqy Se Wo Taal Deta Hai,

Ye Jan Kar B K Mujy Wo Pyar Nahi Karta,
Wo Dekhta Hai Yuon Hai K,uljhan Mai Daal Deta Hai,

Sawal Jaise Panha Mangty Hoon Aaankhon Se,
Jawab Nigaah Se Wo Kalam Deta Hai.. *

dr.aamir 15.07.12 - 11:54am
Pyaas Wo Dil Ki Bujhaanay Kubhi Aya Bhee Nahee
Kaisa Baadal Hai Jis Ka Koi Saaya Bhee Nahee ?

Be-Rukhi Is Se Badi Aur Bhalaa Kia Hogi ?
Ik Muddat Se Hamain Osne Sataaya Bhee Nahee

Roz Aata Hai Dard-e-Dil Pe Wo Dastak Dene
Aaj Tak Ham Ne Jisay Paas Bulaaya Bhee Nahee

Sun Lia Kaisay Khudaa Jaanay Zamaanay Bhar Ne ?
Wo Fasaana Jo Kubhi Ham Ne Sunaaya Bhee Nahee

Tum Tou Shayar Ho Qateel Aur Wo Ik Aam Sa Shakhs
Osne Chaaha Bhee Tujhe Aur Jataaya Bhee Nahee *

dr.aamir 15.07.12 - 11:55am
Goya Andaaz-e-Taazeem Hai Ameeron Jaisa
Mere Ander Ka Hai Insaan Faqeeron Jaisa

Ham Ne Chehray Pe Sajaa Rakhi Hai Sheher Ki Ronaq
Dil Ka Aalam Hai Veeraan Jazeeron Jaisa

Os Ke Ausaaf-o-Khasaail Ne Mujhe Jeet Lia
Meray Mureedon Mein Tha Shakhs Wo Peeron Jaisa

Is Se Pehlay Thi Aseeri Bhi Rehaayi Jaisi
Ab Ke Aazaadi Mein Hai Haal Aseeron Jaisa

Os Ko Ganwa Ke Hain Khasaaray Ab Tak Mohsin
Wo Jo Ik Shakhs Mere Saath Tha Heeron Jaisa *

dr.aamir 15.07.12 - 11:56am
Ek Diya Dil Mein Jalaana Bhee, Bujhaa Bhee Dena
Yaad Karna Bhee Ose Roz Bhula Bhee Dena

Kia Kahoon Ye Meri Chaahat Hai Ke Nafrat Oski ?
Naam Likhna Bhee Mera, Likh Ke Mitaa Bhee Dena

Phir Na Milnay Ko Bicharta Hun Tujh Se Laikin
Murr Ke Dekhuun Tou Palatnay Ki Duaa Bhee Dena

Khat Bhee Likhna Mayoos Bhee Rehna Os Se
Jurm Karna Bhee Magar Khud Ko Sazaa Bhee Dena

Mujh Ko Rasmon Ka Takalluf Bhee Ganwaara Laikin
Jee Mein Aaye Tou Ye Deewaar Gira Bhee Dena

Os Se Mansoob Bhee Karlaina Puraanay Qissay
Os Ke Baalon Mein Naya Phool Sajaa Bhee Dena

Soorat-e-Naqsh-e-Qadam, Dasht Mein Rehna Mohsin
Apnay Honay Se Na Honay Ka Pataa Bhee Dena *

dr.aamir 15.07.12 - 11:57am
Gumnaam Dayaaron Mein Safar Kiun Nahee Kartay ?
Ujray Howay Loogon Pe Nazar Kiun Nahee Kartay ?

Ye Khwaab Ye Khushion Bharay Hanstay Howay Ye Khwaab
Ye Khwaab Mere Dil Pe Asar Kiun Nahee Kartay ?

Khwaahish Ke, Tamaaniat-e-Ehsaas Ke Panchi
Kuch Roz Mere Ghar Mein Basar Kiun Nahee Kartay ?

Subhon Se Hain Maghloob Tou Phir Zaim Kaisa Hai ?
Raaton Pe Hain Ghalib Tou Seher Kiun Nahee Kartay ?

Ye Loog Musalsal Hain Jo Ik Khauf Ke Qaidi
Is Khauf Ki Deewaar Mein Dar Kiun Nahee Kartay ?

Kiun Aap Uthaatay Ho Udaasi Ke Ye Asbaab ?
Shaamon Ke Ghulaamon Ko Khabar Kiun Nahee Kartay ? *

dr.aamir 15.07.12 - 11:58am
Qadar-e-Johar Hai Jo Pindaar Samait
Mujhko Parkho Mere Mayaar Samait

Roz Maangain Ye Dua Khaana-Badosh
Ghar Na Ujray Dar-o-Deewaar Samait

Kitni Banjar Howi Fasl-e-Aawaaz
Sheher Chup Chaap Hai Baazaar Samait

Kaash Loogon Ki Tarah Soye Chaman
Hum Bhee Jaayein Kubhi Dildaar Samait

Kon Karta Qad-o-Qaamat Ka Hisaab ?
Ik Qayaamat Tha Wo Raftaar Samait

Jin Ki Haibat Se Hiraasan Lashkar
Be-Nishaan Ab Hain Wo Talwaar Samait

Bujh Jaayein Kaheen Aankhain Meri
Yaad Aa , Mashal-e-Rukhsaar Samait

Khaak Urti Howi Sadyon Se Udhar
Qaaflay Guum Howay Saalaar Samait

Hawas-e-Darham-Dinaar Ki Khair
Loog Biknay Lagay Kirdaar Samait

Mein Ke Mohsin Hun Shaheed-e-Naamoos
Dafan Karna Mujhe Dastaar Samait

*

dr.aamir 15.07.12 - 12:00pm
Tumhaari Anjuman Se Uth Kar Deewaanay Kahan Jaatay ?
Jo Waabasta Howay Tum Se Wo Afsaanay Kahaan Jaatay ?

Nikal Kar Dair-o-Kaaba Se Agar Milta Na Maikhaana
Tou Thukraaye Howay Insaan Khuda Jaanay Kahaan Jaatay ?

Tumhaari Be-Rukhi Ne Laaj Rakh Li Baadaah Khaanay Ki
Tum Aankhon Se Pila Daitay Tou Paimaanay Kahaan Jaatay?

Chalo Acha Howa, Kaam Aagayi Deewaangi Apni
Wagarna Ham Zamaanay Bhar Ko Samjhaanay Kahaan Jaatay ?

Qateel Apna Muqaddar Gham Se Begaana Agar Hota
Tou Apnay Paraaye Hum Se Pehchaanay Kahaan Jaatay ? *

dr.aamir 15.07.12 - 12:01pm
Justajuu Khoye Howon Ki Umar Bhar Kartay Rahay
Chaand Kay Hamrah Hum Har Shab Safar Kartay Rahay

Raaston Ka iLm Tha Na Ham Ko Simton Ki Khabar
Sheher-e-Na-Maaloom Ki Chaahat Magar Kartay Rahay

Ham Ne Khud Se Bhee Chhupaya Hai Aur Saaray Sheher Ko
Tere Jaanay Ki Khabar Deewaar-o-Dar Kartay Rahay

Wo Na Aaye Ga Hamain Maaloom Tha, Os Shaam Bhi
Intezaar Os Ka Magar Kuch Soch Kar Kartay Rahay

Aaj Aaya Hai Hamain Bhee Un Uraanon Ka Khayaal
Jin Ko Tere Zaim Mein, Be-Baal-o-Par Kartay Rahay *

dr.aamir 15.07.12 - 12:03pm
Wo Chahto Ki Esi Misal Deta Hai,
Awargi Ko Apnayat Mai Dhal Deta Hai,

Wo Khush Kalam Hai Is Kadar,bat Karny Mai,
Ke Harf Harf Ko Husn-o-jalam Deta Hai,

Mai Uska Sath Jo Mango,zindagi Bhar Ke Liye,
Baray Haseen Tareeqy Se Wo Taal Deta Hai,

Ye Jan Kar B K Mujy Wo Pyar Nahi Karta,
Wo Dekhta Hai Yuon Hai K,uljhan Mai Daal Deta Hai,

Sawal Jaise Panha Mangty Hoon Aaankhon Se,
Jawab Nigaah Se Wo Kalam Deta Hai.. *

dr.aamir 15.07.12 - 12:06pm
Wo jo khud Pairvi-e-Ehd-e-Wafa karti thi
Mujse milti thi to Talqeen-e-Wafa karti thi

Us k Daman mein koi Phool nhi mery liay,
Jo meri Tangi-e-Daman ka gila karti thi

Aj jo usko bulaya to wo gumsum he rahi,
Dil dharakny ki jo Awaz suna karti thi

Aj wo meri har ek baat k Maani poochy,
Jo meri soch ki Tafseer likha karti thi

Uski Dehlez pe sadyon se khara hn
Aemi
Mujhse milny k jo Lamhat gina karti thi *

dr.aamir 15.07.12 - 12:08pm
Chaand Kay Saath Kayi Dard Puranay Niklay
Kitnay Ghum Thay Jo Teray Gham Kay Bahanay Niklay

Fasal E Gul Ayi, Phir Ik Baar, Aseeraan E Wafa
Apnay Hi Hoon Ma Nahanay Niklay

Hijar Ki Chout Ajab Sang E Shikam Hoti Hai
Dil Kay Bafaiz Zameenon Sa Hazanay Niklay

Dil Na Ek Eent Sa Tameer Kia Taajmahal
Tou Na Ek Baat Kahi Laakh Fasanay Niklay

Dasht E Tanhai Hijraan Ma Khara Soochta Hn
Hai Kia Log Meray Lia Nibhaanay Niklay

Main Na Amjad Usay Bay Wasta Dekha Hi Nahe
Wo To Khushboo Bhi Ahat Kay Bahany Niklay *

dr.aamir 18.07.12 - 01:17am
Karray Safar Mein Agar Raasta Badalna Tha
Tou Ibtedaa Mein Mere Saath Hee Na Chalna Tha

Kuch Is Lye Bhee Tou Sooraj Zameen Pe Utraa Hai
Pahaarion Per Jami Barf Ko Pighalna Tha

Utar Ke Dil Mein Lahuu Zeher Kar Gaya Aakhir
Wo Saanp Jis Ko Meri Aastee.n Mein Palnaa Tha

Ye Kia Ke Tohmatain Aatish-Fishaan Ke Sar Aayein
Zameen Ko Yun Bhee Khazaana Kubhi Ugalna Tha

Mein Lagzishon Se Atay Raaston Pe Chal Nikla
Tujhe Ganwa Ke Mujhe Phir Kahan Sambhalna Tha ?

Ajab Naseeb Tha Mohsin Ke Baad-e-Marg Mujhe
Charaagh Ban Ke Khud Apni Lehad Pe Jalna Tha. *

dr.aamir 18.07.12 - 01:18am
Kaun Kehta Hay k Maut Aayi Tou Mar Jaonga ?
Main Tou Dariya Hoon Samandar Mein Utar Jaonga

Tere Pehlu Se Jo Uthoonga Tou Mushkil Yeh Hay
Sirf Ek Shakhs Ko Paonga Jidhar Jaaonga

Ab Tere Shehar Mein Aaonga Musaafir Ki Tarah
Saaya-e-Abr Ki Maanind Guzar Jaonga

Tera Paimaan-e-Wafa Raah Ki Deewar Bana
Warna Soocha Tha Jab Chahonga Mar Jaonga

Chaara SaazooN Se Alag Hay Mera Miyaar k Main
Zakham Khaonga Tou Kuch Aur Sanwar Jaonga

Zindagi Shamma Ki Maanind Jalaata Hoon
Bujh Tou Jaonga Magar Subha Tou Kar Jaonga! *

dr.aamir 18.07.12 - 01:28am
Dono Jahan Teri Mohabbat Main Haar K
Wo Ja Raha Hai Koi Shab-e-Gham Guzaar K

Viraan Hai Maikada Khum-o-Sagar Udaas Hai
Tum Kya Gaye K Rooth Gaye Din Bahaar K

Ik Fursat-e-Gunah Mili, Wo Bhi Chaar Din
Dekhe Hain Ham Ne Hausale Parvar-Digaar K

Duniya Ne Teri Yaad Se Begaana Kar Diya
Tujh Se Bhi Dil Fareb Hain Gham Rozgaar K

Bhule Se Muskura To Diye The Wo Aaj Faiz
Mat Puch Val-Vale Dil-e-Na-Kardahkaar K. *

dr.aamir 18.07.12 - 01:47am
Tum pait pe laat to mar chuke, Ab kitne paaon pasaro ge,
Tum roti Kapraa kya do ge, Tum log kafan bhi utaaro ge,

Yeh baazi bhook ki baazi hai, Yeh baazi tum hi haaro ge,
Har ghar se bhooka nikle ga, Tum kitne bhookey maaro ge.. *

nari68 8.08.12 - 11:54pm
Nice yar *

adnaan69 15.11.12 - 12:43pm
0H7x5syQkRC9mWJTG9dK.jpg. *

nitasha0 24.11.12 - 02:25am
Nice dr.aamir acha topic hai DJFQvFugQVFrtqBIQ53v.jpg *

bismaa 11.01.13 - 05:35am
Khirhki, Chand, Kitab Aur
main,

Muddat Se ik Baab Aur main,

Shab Bhar Khelen Apas
mein,

Do Ankhain ik Khawab Aur
main,

Mouj Aur Kashti, Sahil par,

Dariya mein Gardab Aur main,

Shaam, Udasi, Khamoshi,

Kuch Kankar, Talaab aur main,

Har Shab Pakray Jatay hain,

Ghari Neend teray Khawab
Aur main. . !! *

adnaan69 11.01.13 - 08:17am
bahot khoob, nihayat aalaa meyaar ki haamil hai. *

bismaa 12.01.13 - 08:05am
Abhi Is traf na Nigah kr,

Main Ghazal ki Palken sanwar
lun ,,

Mera lafz lafz ho Aaina,
Tjhe Aainy me utar lun ,,

Main tmam Din ka thka hua,
Tu tmam shab ka jga hua ,,

Zara thehr ja isi Mor pr,
Tery sath Shaam guzaar lun ,,

Agar Aasman ki Numaishon me,
Mjhe b Izn-e-Qayam ho ,,

To Main motiyon ki dukaan se,
Teri baliyan, Tery haar lun ,,

Kai Ajnabi teri Raah k,
Mery paas se yun Guzar gye ,,

Jinhe dekh kr ye tarap hui,
Tera Naam le kr Pukaar lon *

adnaan69 12.01.13 - 08:55am
nice. *

bismaa 12.01.13 - 10:41am
Woh Hata Rahay Hein Parda Sar-
E-Aam, Chupkay Chupkay,,

Main Nazara Kar Raha Hoon Sar-
E-Shaam, Chupkay Chupkay,,

Yeh Jhuki Jhuki Nigaahein, Yeh
Haseen Haseen Ishaaray,

Mujhe Day Rahay Hein Shayed
Woh Payaam, Chupkay Chupkay,,

Na Dikhao Chaltay Chaltay, Yun
Qadam Qadam Pay Shokhiyan,,

Koi Qatal Ho Raha Hai, Sar-E-
Aam, Chupkay Chupkay,,

Kabhi Shokhiyan Dikhaana
Kabhi Un Ka Muskurana,,

Yeh Adayein Kar Na Daalein
Mera Kaam, Chupkay Chupkay,,

Yeh Jo Hichkiyaan Musalsal,
Mujhe, Aa Rahi Hein Ghalib,

Tum Lay Rahi Ho Shayad Mera
Naam, Chupkay Chupkay. *

adnaan69 12.01.13 - 11:38am
Hijar Ka Tara Doob Chala
Dhalne Lagi Hai Raat Wasi
Qatra-Qatra Baras Raha Hai
Ashko Se Barsaat Wasi..
TERE baad Ye Dunia Wale
Mujhe Pagal Kar Denge
Khushbu K Us Dais Me Le chal Mujhko Apne sath Wasi...
Aaj To Uska Chehra Bhi Khuch Badla-BADLA lagta Hai
Mousam Badla Dunia Badli
Badal Gaye Halat Wasi..
MERA ghar Khushboo Ka Yeh Raqs uske Dum Se Hai
Uske Sath Chali Jayenge
pulo&246;n Ki Baarat Wasi..
CHOR wasi Ab Uski Yaaden
tujhko Pagal Kardengi..
TU Qatra-QATRA wo Dariya hai
Dekh Apni Aoukhat Wasi *

nidaanam 23.01.13 - 11:21am

Be-naam musafir hoon, Be-naam safar mera,
Kis rah nikal jaon, Kuch keh nahi sakta

Be-naam meri manzil benaam thikana hai,
Kis dar pay main ruk jaon,
Kuch keh nahi sakta,

Iss paar to roshan ha sara mera rasta,
Us paar andera ho, Kuch keh nahi sakta,

Tinkay ki tarah mai bhi beh jaon samandar mai,
Mil jay ga kinara, Kuch keh nahi sakta,

miljay tabeer mery khawaboon ki ek din,
Ya khawab bikhar jaeen, Kuch keh nahi sakta. *

dr.aamir 28.02.13 - 07:58am
Na ji bhar kay dekha na kuch bat ki,
Bari arzo thi mulaqat ki,

Ujalon ki pariyan nahaney lagien,
Nadi gungunai khayalat ki,

Main chup tha to chalti hawa ruk gai,
Zuban sab samjhtey hain jazbaat ki,

Muqaddar meri chashm e pur aab ka,
Barsti hoi rat barsat ki,

Kai saal sey kuch khabar hi nahi,
Kahan din guzra kahan rat ki. *

dr.aamir 28.02.13 - 08:06am
Khuda hum ko esi Khudayi na dey,
Kay apney siwa kuch dikhai na dey,

Khatawar samjhey gi duniya tujhey,
Ab itni zayada safai na dey,

Hanso aj itna kay is shor me,
Sada siskiyon ki sunai na dey,

Ghulami ko barkat samjhney lagien,
Aseeron ko esi rihai na dey,

Khuda esey ehsas ka naam hai,
Rahey samney or dikhai na dey,

Mujhey esi jannat nahi chahiye,
Jahan sey madina dikhai na dey. *

dr.aamir 28.02.13 - 08:17am
Marney ki duain kiyon mangon jeeney ki tamanna kon karey,

Ye duniya ho ya wo duniya ab khwahish e duniya kon karey,


Jab khashti sabit o salim thi sahil ki tamanna kis ko thi,

Ab esi shakista kashti par sahil ki tamanna kon karey,

Jo aag lagai thi tum ney us aag ko to bujhaya askhon ney,

Jo ashkon ney bharkai hai is aag ko thanda kon karey,

Duniya ney humien chora jazbi hum chor na dien kiyon duniya ko,

Duniya ko samajh kar bethey hain ab duniya duniya kon karey. *

dr.aamir 14.03.13 - 02:51am
Har Zulm Tera Yaad Hai Bhoola To Nahi Hoon,

A Wada Faramosh Main Tujh Sa To Nahi Hoon,

A Dost Mujhe Kyon Dekhta Rehta Hai Zamana,

Deewana Sahi Unka Tamasha To Nahi Hoon,

Chup Chaap Sahi Misl_e_Husan Waqt K Haathon,

Majboor Sahi Waqt Se Haara To Nahi Hoon,

Dil Torra Hai Apnon Ne To Shikwa Na Karein Ge,

Wo Bhool Gaya Mujh Ko Main Bhoola To Nahi Hoon.

Saahil Pe Kharre Ho Tumhein Kya Dar Chale Jana,

Main Doob Raha Hoon Abhi Dooba To Nahi Hoon. *

dr.aamir 30.04.13 - 08:52am
Dard Mein Bhi Yeh Lab Muskura
Jaate Hain,,

Beete Lamhein Hamein Jab Bhi
Yaad Aate Hain.


Chand Lamhaaat Ke Waaste Hi
Sahi,
Muskuraakar Mili Thi Mujhe
zindagi,,

Teri Aaghosh Mein Din The Mere
Kate
Teri Baahon Mein Thi Meri Raaten
Kati. .

Aaj Bhi Jab Woh Pal Mujhko Yaad
Aate Hai
Dil Se Saare Gamon Ko Bhula
Jaate Hai

Dard Mein Bhi Yeh Lab Muskura
Jaate Hai
Beete Lamhein Hamein Jab Bhi
Yaad Aate Hain.

Mere Kaandhe Pe Sir Ko
Jhukaana Tera,

Mere Sine Mein Khud Ko
Chhupaana Tera,

Aake Meri Panaahon Mein
Shaamo Sehar,

Kaanch Ki Tarah Woh Toot Jaana
Tera,

Aaj Bhi Jab Woh Manzar Nazar
Aate Hain,

Dil Ki Viraaniyo Ko Mita Jaate Hain.

Dard Mein Bhi Yeh Lab Muskura
Jaate Hai
Beete Lamhein Hamein Jab Bhi
Yaad Aate Hain. . *

dr.aamir 30.04.13 - 09:02am
My Fav Ghazal.
Bohat Farsooda Lagty
Hain Mujhe Ab Yaar Ke
Qissy,

Gul o Gulzaar Ki Batain, Lab o Rukhsaar Ke Qissy.


Yahan Sab Ke MuQaddar Mein FaQat Zakhm e Judai Hai,

Sabhi Jhotey Fasaney
Hain, Wasal e Yaar Ke
Qissy.


Bhala Ishq o Mohabbat Se Kisi Ka Pait Bharta Hai,

Suno, Tum Ko Sunaata
H0n, Main Karobaar Ke
Qissy.


Mere Ehbaab Kehte Hain, Yahi ik Aeib Hai Mujh Mein,

Sar e Deewar Likhta Hon, Pas'ey Deewar Ke
Qissy.


Main Aksar Is Liye Logon Se Ja Kar Khud Nahin Milta,

Wohi Bekaar Ki Baaten, Wohi Bekaar Ke Qissy. *


* Reply
* Nice-Friends Forum


Search:
topics replies


* Nice-Friends

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Custom Search


Create Your Own App Store